Aaj wo din aa gaya jab paro apni maa ko chhod kar hamesha ke liye apne sasural chali jayegi,aaj uski shadi hai,aur kuch ghante bad uska vidayi hone wala hai,
Paro bahut se ladkiyo bhabhiyo se ghiri hui dulhan ke jode me taiyar hui baithi,,, aansu bhare aankhon se dekh rahi thi,shadi uski thi,ghar me hansi thitholi ka ranga rang karyakram bana hua था,,,,lekin phir bhi wah khus nahi ho pa rahi thi,,,,sab usko us pti ke nam lekar chhedne ki koshish karte jisko wah abhi tak dekhi nahi thi, jani nahi thi, sasural aur pti kitne ache aur khrab hote hai, use jyda kuch nahi pta lekin itna pta था,,,, ki bahu ko sasural me beti bana kar nahi rkhte aur maa ka pyar kabhi nahi mil skta, itna pta था use.
Write a comment ...